Saturday, March 11, 2006

Senti shayari

rotey hain kis kadar unki yaad mein hum
yeh humare ghar ki deewaron se pocchiye


Mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-de-dil ki inteha malum hai,
Zindagi me kabhi muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai.


palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahi
wo sochte hain hum roye hi nahi
wo poochhte hain khwabon mein kise dekhte ho
hum hain ki ek umar se soye hi nahi.


Aansuonn ko bahot Samjhaya kay tanhayion mein aaya karo
mehfil mein humaara mazaak mat udaaya karo
Is par ansoon tadap ka boley
Itne logon mein bhi aapko tanha paatey hain
isiliye tunhaara saath dene chale atey hain


tum laakh chhupao seenein mein, ehsaas humaari chaahat ka
dil jab bhi tumhaara dhadka hai, awaaz yahan tak aayi hai


Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai
Jo saaz pe guzri hai woh, kis dil ko pata hai


Khudah se maine ek duva maangi,
Duva mein apni maut maangi,
Phir khudah ne kaha...
Maut to tujhe de doon par,
Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi


meri qabar par phool charha raha hai koi...
meri qabar par ansoo baha raha hai koi…
aye khuda thori se zindagi aur day...
meri qabar se mayoos ja raha hai koi


AAJ BHI SHAAM KI AANKHEN NAM KYUN HAIN...
HAMEIN TO ARSAA HO GAYA DAASTAANE-GAM SUNAAYE HUE...


na uda yun thhokaron se meri khaak-e-kabr zaalim...
yahi ek rah gayi hai mere pyar ki nishani.


iss tarah likhne mein maahir to hum bhi nahi...
aur phir woh keh jaate hain unko koi gum bhi nahi...
kucch to raaz andar inke bhi chipa hoga..
kahin koi dard hoga andar..tabhi to aasuon ka daayra bana hoga


Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh
Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh
Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh


PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE


Dard ko bhi ab dard hone laga hai
Dard apne zakhmo ko dhone laga hai
Dard ko paaker hum to nahi roye
Dard hame paaker rone laga hai


Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta
Iska matlab ye nahin ki mai usse pyar nahi karta
Chahata hun mai use aaj bhi
par Uski soch me apna waqt bekar nahi karta
Tamasha na ban jaye kahi mohabbat meri
Isliye apne dard ka izhaar nahi karta
Jo kuch mila hai ussi me khush hun mai
Uske liye khuda se takrar nahi karta
Par... Kuch to baat hai uski fitrat me zalim
Warna ussko chahne ki khata mai baar - baar nahi karta...........


Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.


Aansu ko ankhon ki
Dehliz pe laya na karo.
Apne dil ki halat
Kisiko bataya na karo.
Log mutthi bhar namak liye
Ghoom rahe hain
Apne zakhm kisiko
Dikhaya na karo.

9 comments:

Anonymous said...

Some share are fantastic...

Keep it up

Anonymous said...

Hi
I just happened to land on your blog, and read all of your Sher's.

I have to say they're beautiful. Amazingly beautiful.

Keep it up.

Anonymous said...

I was searching for some good shers..and landed to ur blog...
i must say i found some really wonderful shers...and i can relate many to my life...great work...

ikShayar said...

ya.. good sher collections.

Anonymous said...

gr8 collections...Awesum i mus really say...Keep it up !!

Anu said...

dard hai yaa yeh hai Jayant?

Ankit

Anonymous said...

Hi,
I m searching 4 sum senti shayari & landed 2 ur blog.i must say dis is a true pic of life.gr8 work keep it up

sanjeev rajput said...

unique collection love this blog ...live long keep it up Mr. Jayant Kumar

Unknown said...

nice one, ..............live long keep it up...........nirja